badan par sabz mausam chha rahe hain
badan par sabz mausam chhā rahe haiñ
magar armān sab murjhā rahe haiñ
purāne ġham kahāñ hijrat kareñge
dukānoñ par na.e ġham aa rahe haiñ
ġhalatiyāñ agle vaqtoñ se huī haiñ
magar sadiyoñ se ham pachhtā rahe haiñ
yahāñ hai boriyā ab bhī nadārat
bahut din ba.ad vo ghar aa rahe haiñ
miyāñ bairūn-o-bātin ek rakkho
munāfiq bhī hameñ samjhā rahe haiñ
samajhte haiñ abhī vo tifl-e-maktab
khilaunoñ se hameñ bahlā rahe haiñ
ġhalāzat meñ paḌī hai ruuh jin kī
libāsoñ ko bahut chamkā rahe haiñ
bhañvar kā hukm hai dariyā pe jaarī
kināre naav se katrā rahe haiñ
karūñ kis kis kā mātam baarī baarī
ḳhazāne Dūbte hī jā rahe haiñ
badan par sabz mausam chha rahe hain
magar arman sab murjha rahe hain
purane gham kahan hijrat karenge
dukanon par nae gham aa rahe hain
ghalatiyan agle waqton se hui hain
magar sadiyon se hum pachhta rahe hain
yahan hai boriya ab bhi nadarat
bahut din baad wo ghar aa rahe hain
miyan bairun-o-baatin ek rakkho
munafiq bhi hamein samjha rahe hain
samajhte hain abhi wo tifl-e-maktab
khilaunon se hamein bahla rahe hain
ghalazat mein paDi hai ruh jin ki
libason ko bahut chamka rahe hain
bhanwar ka hukm hai dariya pe jari
kinare naw se katra rahe hain
karun kis kis ka matam bari bari
KHazane Dubte hi ja rahe hain
- Book : aatish zer pa (Pg. 80)
- Author : zafar sehbai
- Publication : zafar sehbai Bhopal (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.