badan par Tank kar tare uDaya ja raha hai
badan par Taañk kar taare uḌāyā jā rahā hai
mujhe āḳhir parinda kyoñ banāyā jā rahā hai
jahāñ par ḳhatm hotī hai samay kī rājdhānī
badan Thahrā huā hai aur saayā jā rahā hai
maiñ soyā bhī nahīñ huuñ aur sapnā dekhtā huuñ
zamīñ ko āsmānoñ par bichhāyā jā rahā hai
nazar aatī nahīñ hai bolne vaale kī sūrat
sunā.ī de rahā hai jo sunāyā jā rahā hai
achānak is sadā se kaañp uThtī haiñ zamīneñ
sañbhal jaao pahāḌoñ ko hilāyā jā rahā hai
mujhe miTTī kā chehra aur āñkheñ de ke bhejā
kahā ye sabr terā āzmāyā jā rahā hai
kahānī ḳhatm hone kī nishānī hai ye lamha
du'ā ko zard pattoñ meñ chhupāyā jā rahā hai
badan par Tank kar tare uDaya ja raha hai
mujhe aaKHir parinda kyon banaya ja raha hai
jahan par KHatm hoti hai samay ki rajdhani
badan Thahra hua hai aur saya ja raha hai
main soya bhi nahin hun aur sapna dekhta hun
zamin ko aasmanon par bichhaya ja raha hai
nazar aati nahin hai bolne wale ki surat
sunai de raha hai jo sunaya ja raha hai
achanak is sada se kanp uThti hain zaminen
sanbhal jao pahaDon ko hilaya ja raha hai
mujhe miTTi ka chehra aur aankhen de ke bheja
kaha ye sabr tera aazmaya ja raha hai
kahani KHatm hone ki nishani hai ye lamha
du'a ko zard patton mein chhupaya ja raha hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.