badan par zaKHm the aur ustuKHwan mein din nahin tha
badan par zaḳhm the aur ustuḳhvāñ meñ din nahīñ thā
bahut taare the apne āsmāñ meñ din nahīñ thā
mirī ḳhvāhish ke jitnā kab huā mujh meñ sarābāñ
ki bahr-e-dasht ke kaun-o-makāñ meñ din nahīñ thā
añdhere meñ the apne qahqahe bhī siskiyāñ bhī
hamāre vasl ke sūd-o-ziyāñ meñ din nahīñ thā
basantī dhuup thī darkār hariyālī kī ḳhātir
ḳhizāni-rut thī hisse gulsitāñ meñ din nahīñ thā
haqīqat ḳhvāb meñ Dhalne ko thī maujūdgāñ meñ
samay kī aañkh ke ā.indagāñ meñ din nahīñ thā
hamāre grahan ko sūraj lagānā kab thā mumkin
bahut DhūñDā magar asr-e-ravāñ meñ din nahīñ thā
nikalnā thā gharoñ se raat meñ tohmat barābar
aur 'asvad' is havas-parvar jahāñ meñ din nahīñ thā
badan par zaKHm the aur ustuKHwan mein din nahin tha
bahut tare the apne aasman mein din nahin tha
meri KHwahish ke jitna kab hua mujh mein saraban
ki bahr-e-dasht ke kaun-o-makan mein din nahin tha
andhere mein the apne qahqahe bhi siskiyan bhi
hamare wasl ke sud-o-ziyan mein din nahin tha
basanti dhup thi darkar hariyali ki KHatir
KHizani-rut thi hisse gulsitan mein din nahin tha
haqiqat KHwab mein Dhalne ko thi maujudgan mein
samay ki aankh ke aaindagan mein din nahin tha
hamare grahan ko suraj lagana kab tha mumkin
bahut DhunDa magar asr-e-rawan mein din nahin tha
nikalna tha gharon se raat mein tohmat barabar
aur 'aswad' is hawas-parwar jahan mein din nahin tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.