badan pe zaKHm sajae lahu labaada kiya
badan pe zaḳhm sajā.e lahū labāda kiyā
har ek sañg se yuuñ ham ne istifāda kiyā
hai yuuñ ki kuchh to baġhāvat-sirisht ham bhī haiñ
sitam bhī us ne zarūrat se kuchh ziyāda kiyā
hameñ to maut bhī de koī kab gavārā thā
ye apnā qatl to bil-qasd bil-irāda kiyā
bas ek jaan bachī thī chhiḌak dī rāhoñ par
dil-e-ġharīb ne ik ehtimām saada kiyā
jo jis jagah ke thā qābil use vahīñ rakkhā
na ziyāda kam kiyā ham ne na kam ziyāda kiyā
bachā liyā hai jo sar apnā saḳht nādim haiñ
magar ye apnā tahaffuz to be-irāda kiyā
na lauTne kā hai rasta na Thaharne kī hai jā
kidhar kā aaj junūñ ne mire irāda kiyā
badan pe zaKHm sajae lahu labaada kiya
har ek sang se yun hum ne istifada kiya
hai yun ki kuchh to baghawat-sirisht hum bhi hain
sitam bhi us ne zarurat se kuchh ziyaada kiya
hamein to maut bhi de koi kab gawara tha
ye apna qatl to bil-qasd bil-irada kiya
bas ek jaan bachi thi chhiDak di rahon par
dil-e-gharib ne ek ehtimam sada kiya
jo jis jagah ke tha qabil use wahin rakkha
na ziyaada kam kiya hum ne na kam ziyaada kiya
bacha liya hai jo sar apna saKHt nadim hain
magar ye apna tahaffuz to be-irada kiya
na lauTne ka hai rasta na Thaharne ki hai ja
kidhar ka aaj junun ne mere irada kiya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.