badan se mawara ho kar koi rishta bana lega
badan se māvarā ho kar koī rishta banā legā
use mat dekhiye vo apnā girvīda banā legā
ise to bas mirī āñkhoñ ko tar rakhne kī 'ādat hai
zarā se zaḳhm ko ye dil bahut gahrā banā legā
baḌhā.egā mirī qismat kī galiyoñ meñ vo tārīkī
phir apne aap ko koī sitāra sā banā legā
use banñe bigaḌne kī zarūrat phir nahīñ hogī
koī bhī shaḳhs jo ḳhud ko yahāñ terā banā legā
tire rahm-o-karam par maiñ ne chhoḌā thā mohabbat ko
mujhe kyoñ aisā lagtā thā ki tū rasta banā legā
jahāñ hai jhuuT kī miTTī vahīñ dhoke kā kuuza bhī
na jaane is se ab ye aadmī kyā kyā banā legā
jahāñ tak ho sake tum se use roko mohabbat se
tumhāre shahr meñ vo ik nayā firqa banā legā
magar puurī tarah us kī kahāñ tajsīm mumkin hai
koī āñkheñ banā.egā koī chehra banā legā
badan se mawara ho kar koi rishta bana lega
use mat dekhiye wo apna girwida bana lega
ise to bas meri aankhon ko tar rakhne ki 'adat hai
zara se zaKHm ko ye dil bahut gahra bana lega
baDhaega meri qismat ki galiyon mein wo tariki
phir apne aap ko koi sitara sa bana lega
use banne bigaDne ki zarurat phir nahin hogi
koi bhi shaKHs jo KHud ko yahan tera bana lega
tere rahm-o-karam par main ne chhoDa tha mohabbat ko
mujhe kyon aisa lagta tha ki tu rasta bana lega
jahan hai jhuT ki miTTi wahin dhoke ka kuza bhi
na jaane is se ab ye aadmi kya kya bana lega
jahan tak ho sake tum se use roko mohabbat se
tumhaare shahr mein wo ek naya firqa bana lega
magar puri tarah us ki kahan tajsim mumkin hai
koi aankhen banaega koi chehra bana lega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.