badan ye jis ke liye sham jaisa saya hai
badan ye jis ke liye shaam jaisā saayā hai
vo shaḳhs aaj bhī mere liye parāyā hai
fazā meñ aaj parindoñ kī chahchahāhaT hai
ajab sā shor daraḳhtoñ ne bhī machāyā hai
guzashta daur kī lailā se muḳhtalif huuñ maiñ
ki maiñ ne ishq kamāyā hai ghar basāyā hai
ye merā ḳhākī badan le rahā hai ukhḌī saañs
so maiñ ne bhejā hai qāsid use bulāyā hai
rahegā vo to mire ḳhvāboñ kī hifāzat meñ
charāġh-e-āḳhirī jo niiñd meñ jalāyā hai
badan ye jis ke liye sham jaisa saya hai
wo shaKHs aaj bhi mere liye paraya hai
faza mein aaj parindon ki chahchahahaT hai
ajab sa shor daraKHton ne bhi machaya hai
guzashta daur ki laila se muKHtalif hun main
ki main ne ishq kamaya hai ghar basaya hai
ye mera KHaki badan le raha hai ukhDi sans
so main ne bheja hai qasid use bulaya hai
rahega wo to mere KHwabon ki hifazat mein
charagh-e-aKHiri jo nind mein jalaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.