baDe buDhe hamare jis ko barbaadi samajhte hain
baDe buDhe hamare jis ko barbaadi samajhte hain
Kaleem Qaisar Balrampuri
MORE BYKaleem Qaisar Balrampuri
baḌe būḌhe hamāre jis ko barbādī samajhte haiñ
na.ī nasloñ ke laḌke us ko āzādī samajhte haiñ
chalo dikhlā hī deñ ab quvvat-e-bāzū ke kuchh jauhar
ye ahl-e-zulm ham ko naqsh-e-faryādī samajhte haiñ
anā ke rang-mahloñ meñ vo jogan ban ke baiThī hai
jise bastī ke saare log shahzādī samajhte haiñ
hamāre khetoñ meñ ḳhushbū hai hariyālī hai sāvan hai
ham apne gaañv ko kashmīr kī vaadī samajhte haiñ
mirī bastī meñ kuchh ahl-e-hunar milte haiñ aise bhī
ki jo tanqīd hī ko apnī ustādī samajhte haiñ
baDe buDhe hamare jis ko barbaadi samajhte hain
nai naslon ke laDke us ko aazadi samajhte hain
chalo dikhla hi den ab quwwat-e-bazu ke kuchh jauhar
ye ahl-e-zulm hum ko naqsh-e-faryaadi samajhte hain
ana ke rang-mahlon mein wo jogan ban ke baiThi hai
jise basti ke sare log shahzadi samajhte hain
hamare kheton mein KHushbu hai hariyali hai sawan hai
hum apne ganw ko kashmir ki wadi samajhte hain
meri basti mein kuchh ahl-e-hunar milte hain aise bhi
ki jo tanqid hi ko apni ustadi samajhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.