baDe hi naz se laya gaya hun
baḌe hī naaz se laayā gayā huuñ
maiñ kāñdhā de kar uThvāyā gayā huuñ
farishto yuuñ na mujh se pesh aao
sandesa bhej bulvāyā gayā huuñ
ḳhabar jis kī thī vo saare manāzir
qarīb-e-marg dikhlāyā gayā huuñ
gañvā.ī zindagī kī sub.h kaise
ba-vaqt-e-shām batlāyā gayā huuñ
jahāñ se paa.ī hai sab ne fazīlat
usī kūche se maiñ aayā gayā huuñ
mile bhar bhar ke sab ko jaam lekin
maiñ ik qatre ko tarsāyā gayā huuñ
ba-zāhir to girā.ī ik imārat
darūn-e-zāt meñ Dhāyā gayā huuñ
'obaid' is baat kī mujh ko ḳhushī hai
maiñ duniyā se alag paayā gayā huuñ
baDe hi naz se laya gaya hun
main kandha de kar uThwaya gaya hun
farishto yun na mujh se pesh aao
sandesa bhej bulwaya gaya hun
KHabar jis ki thi wo sare manazir
qarib-e-marg dikhlaya gaya hun
ganwai zindagi ki subh kaise
ba-waqt-e-sham batlaya gaya hun
jahan se pai hai sab ne fazilat
usi kuche se main aaya gaya hun
mile bhar bhar ke sab ko jam lekin
main ek qatre ko tarsaya gaya hun
ba-zahir to girai ek imarat
darun-e-zat mein Dhaya gaya hun
'obaid' is baat ki mujh ko KHushi hai
main duniya se alag paya gaya hun
- Book : Soch Abshar (Poetry) (Pg. 83)
- Author : Obaidur Rahman
- Publication : Sehla Obaid (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.