Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDe hi shauq se hum sharh-e-arzu karte

Zahoor Biswani

baDe hi shauq se hum sharh-e-arzu karte

Zahoor Biswani

MORE BYZahoor Biswani

    baḌe shauq se ham sharh-e-ārzū karte

    agar vo ḳhatm na mauzū-e-guftugū karte

    jo mai-kashī na ba-andāza-e-subū karte

    galī galī meñ tamāshā-e-ābrū karte

    ye ḳhauf thā ki junūñ par na harf aa jaa.e

    ḳhushī se chāk-garebāñ na ham rafū karte

    hamāre ḳhuun ke asbāb sau nikal aate

    bahāna koī na koī bahāna-jū karte

    jo apne ḳhuun se apne diye jalā lete

    vo kyā kisī ke charāġhoñ aarzū karte

    anā pe harf na aatā to koī baat na thī

    darāz muft meñ kyoñ dast-e-ārzū karte

    tamām dasht ke zarroñ ke hoñT pyāse the

    ham apne ḳhuun se kis kis ko surḳh-rū karte

    na jaane kitnī tamannā.eñ janm le letīñ

    agar vo qat.a kahīñ shāḳh-e-ārzū karte

    ḳhabar jo hotī ulajhnā paḌegā ḳhāroñ se

    'zuhūr' ham na tamannā-e-rang-o-bū karte

    baDe hi shauq se hum sharh-e-arzu karte

    agar wo KHatm na mauzu-e-guftugu karte

    jo mai-kashi na ba-andaza-e-subu karte

    gali gali mein tamasha-e-abru karte

    ye KHauf tha ki junun par na harf aa jae

    KHushi se chaak-gareban na hum rafu karte

    hamare KHun ke asbab sau nikal aate

    bahana koi na koi bahana-ju karte

    jo apne KHun se apne diye jala lete

    wo kya kisi ke charaghon ki aarzu karte

    ana pe harf na aata to koi baat na thi

    daraaz muft mein kyon dast-e-arzu karte

    tamam dasht ke zarron ke honT pyase the

    hum apne KHun se kis kis ko surKH-ru karte

    na jaane kitni tamannaen janm le letin

    agar wo qata kahin shaKH-e-arzu karte

    KHabar jo hoti ulajhna paDega KHaron se

    'zuhur' hum na tamanna-e-rang-o-bu karte

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now