baDe KHatre mein hai husn-e-gulistan hum na kahte the
baḌe ḳhatre meñ hai husn-e-gulistāñ ham na kahte the
chaman tak aa ga.ī dīvār-e-zindāñ ham na kahte the
bhare bāzār meñ jins-e-vafā be-ābrū hogī
uThegā e'tibār-e-kū-e-jānāñ ham na kahte the
usī mahfil usī bazm-e-vafā ke goshe goshe meñ
luTegī masti-e-chashm-e-ġhazālāñ, ham na kahte the
isī raste meñ āḳhir vo kaḌī manzil bhī aa.egī
jahāñ dam toḌ degī yād-e-yārāñ ham na kahte the
ḳhizāñ kī āhaToñ par kāñptī haiñ pattiyāñ gul kī
bikharne ko hai ab zulf-e-bahārāñ ham na kahte the
dil-e-fitrat-shanās āḳhir kahīñ yūñhī dhaḌaktā hai
fareb-e-husn hai jashn-e-charāġhāñ ham na kahte the
baDe KHatre mein hai husn-e-gulistan hum na kahte the
chaman tak aa gai diwar-e-zindan hum na kahte the
bhare bazar mein jins-e-wafa be-abru hogi
uThega e'tibar-e-ku-e-jaanan hum na kahte the
usi mahfil usi bazm-e-wafa ke goshe goshe mein
luTegi masti-e-chashm-e-ghazalan, hum na kahte the
isi raste mein aaKHir wo kaDi manzil bhi aaegi
jahan dam toD degi yaad-e-yaran hum na kahte the
KHizan ki aahaTon par kanpti hain pattiyan gul ki
bikharne ko hai ab zulf-e-bahaaran hum na kahte the
dil-e-fitrat-shanas aaKHir kahin yunhi dhaDakta hai
fareb-e-husn hai jashn-e-charaghan hum na kahte the
- Book : Range-e-Gazal (Pg. 59)
- Author : shahzaad ahmad
- Publication : Ali Printers, 19-A Abate Road, Lahore (1988)
- Edition : 1988
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.