baDe nazuk se jazbon se mohabbat maine pali thi
baḌe nāzuk se jazboñ se mohabbat maiñ ne paalī thī
phir apne qīmtī lafzoñ kī us meñ jaan Daalī thī
na-jāne kaun se maz.hab se dīvāne kā rishta thā
ki us ne apnī hī tanhā sī ik bastī basā lī thī
guloñ sā chāñd sā tāroñ sā ham bhī shor karte the
ki kis darja mohabbat ham ne sar pe hī uThā lī thī
kabhī sochā hai tum ne bhī maiñ chup kyoñ ho ga.ī āḳhir
ki maiñ ne sabr se apnī zabāñ dil meñ dabā lī thī
kahīñ vo āḳhirī lamha tirī uljhan na ban jaa.e
so tujh se apnī āñkhoñ kī namī maiñ ne chhupā lī thī
baDe nazuk se jazbon se mohabbat main ne pali thi
phir apne qimti lafzon ki us mein jaan Dali thi
na-jaane kaun se mazhab se diwane ka rishta tha
ki us ne apni hi tanha si ek basti basa li thi
gulon sa chand sa taron sa hum bhi shor karte the
ki kis darja mohabbat hum ne sar pe hi uTha li thi
kabhi socha hai tum ne bhi main chup kyon ho gai aaKHir
ki main ne sabr se apni zaban dil mein daba li thi
kahin wo aaKHiri lamha teri uljhan na ban jae
so tujh se apni aankhon ki nami main ne chhupa li thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.