baDe sabr-o-tahammul se ba-sad pas-e-adab kaTe
baḌe sabr-o-tahammul se ba-sad pās-e-adab kaaTe
judā.ī ik qayāmat thī magar ye roz-o-shab kaaTe
qayāmat hai ki us ne ek jurm-e-be-gunāhī kā
mere dast-e-talab toḌe mire pā-e-talab kaaTe
dil-e-dard-āshnā miltā to shāyad tum samajh sakte
ki tum se duur rah kar ham ne kaise roz-o-shab kaaTe
asīrān-e-qafas sayyād ke mamnūn ehsāñ haiñ
kabhī minqār sī Daalī kabhī par be-sabab kaaTe
unheñ ehsās hī hotā to phir ham ko gila kyā thā
ki ham ne bār-hā ghabrā ke kyuuñ apne hī lab kaaTe
tamannā hai ki umr-e-'shauq' guzre tere qadmoñ meñ
tirī zulfoñ ke saa.e meñ ye apne roz-o-shab kaaTe
baDe sabr-o-tahammul se ba-sad pas-e-adab kaTe
judai ek qayamat thi magar ye roz-o-shab kaTe
qayamat hai ki us ne ek jurm-e-be-gunahi ka
mere dast-e-talab toDe mere pa-e-talab kaTe
dil-e-dard-ashna milta to shayad tum samajh sakte
ki tum se dur rah kar hum ne kaise roz-o-shab kaTe
asiran-e-qafas sayyaad ke mamnun ehsan hain
kabhi minqar si Dali kabhi par be-sabab kaTe
unhen ehsas hi hota to phir hum ko gila kya tha
ki hum ne bar-ha ghabra ke kyun apne hi lab kaTe
tamanna hai ki umr-e-'shauq' guzre tere qadmon mein
teri zulfon ke sae mein ye apne roz-o-shab kaTe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.