baDe saliqe se ab hum ko jhuT bolna hai
baḌe salīqe se ab ham ko jhuuT bolnā hai
mare na koī faqat itnā zahr gholnā hai
rakhī huī hai tirī yaad dil ke palḌe meñ
ab is tarāzū meñ ik ishq aur tolnā hai
maiñ is liye bhī zamāne meñ sab ko pyārā huuñ
mujhe patā hai kahāñ kitnā jhuuT bolnā hai
hamāre desh meñ insāf kī jo devī hai
ab āsthā se use zindagī ko tolnā hai
havā liye hue phirtī hai qaiñchiyāñ 'yāsir'
baḌe hisāb se apne paroñ ko kholnā hai
baDe saliqe se ab hum ko jhuT bolna hai
mare na koi faqat itna zahr gholna hai
rakhi hui hai teri yaad dil ke palDe mein
ab is taraazu mein ek ishq aur tolna hai
main is liye bhi zamane mein sab ko pyara hun
mujhe pata hai kahan kitna jhuT bolna hai
hamare desh mein insaf ki jo dewi hai
ab aastha se use zindagi ko tolna hai
hawa liye hue phirti hai qainchiyan 'yasir'
baDe hisab se apne paron ko kholna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.