baDe saliqe se milte hain etibar ke dukh
baḌe salīqe se milte haiñ e'tibār ke dukh
mire nasīb meñ likkhe ga.e haiñ yaar ke dukh
tumheñ ghaḌī kī zarūrat nahīñ paḌī ab tak
to kaise jaan sakoge tum intizār ke dukh
vo shaḳhs jis ko mayassar nahīñ hai dūsrā shaḳhs
usī ko sab se ziyāda hai ġham-gusār ke dukh
mujhe kisī se gila hai na koī ranjish hai
magar vo log jo rakhte haiñ iḳhtiyār ke dukh
jo log raat ko so jaate haiñ sukūn ke saath
vo log kyā hī samajhte haiñ be-qarār ke dukh
bas ek baar uThā le koī qadam 'shāfī'
phir is ke baa'd nahīñ hoñge baar baar ke dukh
baDe saliqe se milte hain e'tibar ke dukh
mere nasib mein likkhe gae hain yar ke dukh
tumhein ghaDi ki zarurat nahin paDi ab tak
to kaise jaan sakoge tum intizar ke dukh
wo shaKHs jis ko mayassar nahin hai dusra shaKHs
usi ko sab se ziyaada hai gham-gusar ke dukh
mujhe kisi se gila hai na koi ranjish hai
magar wo log jo rakhte hain iKHtiyar ke dukh
jo log raat ko so jate hain sukun ke sath
wo log kya hi samajhte hain be-qarar ke dukh
bas ek bar uTha le koi qadam 'shafi'
phir is ke ba'd nahin honge bar bar ke dukh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.