baDh ai zauq-e-junun ab kis ka Dar hai
baDh ai zauq-e-junun ab kis ka Dar hai
Syed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
MORE BYSyed Aneesuddin Ahmad Rizvi Amrohvi
baḌh ai zauq-e-junūñ ab kis kā Dar hai
idhar ye sar udhar vo sang-e-dar hai
mire dil ko to vo le hī chuke haiñ
magar īmān par bhī ab nazar hai
likhā hai surma kī tahrīr meñ ye
ki ye ġhārat-gar-e-qalb-o-nazar hai
nigāheñ chār-sū hairān kyoñ haiñ
ḳhudāyā vo mirā dilbar kidhar hai
'anīs'-e-zār par kyā kyā na guzrī
kaho tum ko bhī kuchh is kī ḳhabar hai
baDh ai zauq-e-junun ab kis ka Dar hai
idhar ye sar udhar wo sang-e-dar hai
mere dil ko to wo le hi chuke hain
magar iman par bhi ab nazar hai
likha hai surma ki tahrir mein ye
ki ye ghaarat-gar-e-qalb-o-nazar hai
nigahen chaar-su hairan kyon hain
KHudaya wo mera dilbar kidhar hai
'anis'-e-zar par kya kya na guzri
kaho tum ko bhi kuchh is ki KHabar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.