baDh gai wahshat ibaadat kam hui
baḌh ga.ī vahshat 'ibādat kam huī
har ḳhushī terī badaulat kam huī
us ne bhī muḌ kar vahī dhokā diyā
ham ko bhī is baar hairat kam huī
kar liyā ik jurm pahle se baḌā
ab kahīñ merī nadāmat kam huī
dauḌte rahne se kuchh badlā nahīñ
thak ke Thahre to masāfat kam huī
ġhair se lipTā rahā maiñ der tak
tab kahīñ terī zarūrat kam huī
baDh gai wahshat 'ibaadat kam hui
har KHushi teri badaulat kam hui
us ne bhi muD kar wahi dhoka diya
hum ko bhi is bar hairat kam hui
kar liya ek jurm pahle se baDa
ab kahin meri nadamat kam hui
dauDte rahne se kuchh badla nahin
thak ke Thahre to masafat kam hui
ghair se lipTa raha main der tak
tab kahin teri zarurat kam hui
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.