baDh gaya dard dawaon ka asar hone tak
baḌh gayā dard davāoñ kā asar hone tak
chhoḌ kar chal diyā bīmār ḳhabar hone tak
jab se bīmār kī ruḳhsat kā yaqīñ aane lagā
aañkh lagtī hī nahīñ ab to sahar hone tak
aable phuuT ke rote rahe raftār ke saath
phuul khulte rahe anjām-e-safar hone tak
ik riyāzat hai ibādat hai ye taḳhlīq kā fan
vaqt darkār hai paude ko shajar hone tak
chīḳh kar ro diyā bādal ki havāoñ kā ġhurūr
kis tarah TuuT gayā ma.arka sar hone tak
ye duā hai ki har āñgan kā shajar phūle phale
phuul khulte raheñ shāḳhoñ pe samar hone tak
un ko mālūm jo hotā to karam kar dete
ham yahāñ miT bhī ga.e un ko ḳhabar hone tak
chaḌhte sūraj kī parastār banī thī duniyā
ham bhī dekhā kiye aiboñ ko hunar hone tak
sher-goī koī āsān nahīñ hai 'nik.hat'
baal pak jaate haiñ lafzoñ meñ asar hone tak
baDh gaya dard dawaon ka asar hone tak
chhoD kar chal diya bimar KHabar hone tak
jab se bimar ki ruKHsat ka yaqin aane laga
aankh lagti hi nahin ab to sahar hone tak
aable phuT ke rote rahe raftar ke sath
phul khulte rahe anjam-e-safar hone tak
ek riyazat hai ibaadat hai ye taKHliq ka fan
waqt darkar hai paude ko shajar hone tak
chiKH kar ro diya baadal ki hawaon ka ghurur
kis tarah TuT gaya marka sar hone tak
ye dua hai ki har aangan ka shajar phule phale
phul khulte rahen shaKHon pe samar hone tak
un ko malum jo hota to karam kar dete
hum yahan miT bhi gae un ko KHabar hone tak
chaDhte suraj ki parastar bani thi duniya
hum bhi dekha kiye aibon ko hunar hone tak
sher-goi koi aasan nahin hai 'nikhat'
baal pak jate hain lafzon mein asar hone tak
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 73)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.