baDh na jae ghubar-e-dil yani
baḌh na jaa.e ġhubār-e-dil yā'nī
tū kisī tarh se bhī mil yā'nī
apnī āñkhoñ pe apne ḳhvāb kā bojh
apne siine pe apnī sil yā'nī
tū bhī duniyā kī ham-rahī meñ rahā
tū bhī hotā rahā ḳhajil yā'nī
apne apne maqām par raushan
ik sitāra hai ek til yā'nī
kyā kahūñ dil se yaad kar na use
kyā kahūñ phuul se na khil yā'nī
kis ko chhoḌegā nāvak-e-taqdīr
kaun rahtā hai mustaqil yā'nī
baDh na jae ghubar-e-dil ya'ni
tu kisi tarh se bhi mil ya'ni
apni aankhon pe apne KHwab ka bojh
apne sine pe apni sil ya'ni
tu bhi duniya ki ham-rahi mein raha
tu bhi hota raha KHajil ya'ni
apne apne maqam par raushan
ek sitara hai ek til ya'ni
kya kahun dil se yaad kar na use
kya kahun phul se na khil ya'ni
kis ko chhoDega nawak-e-taqdir
kaun rahta hai mustaqil ya'ni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.