baDha do dard ki lau aur kam hai mere liye
baḌhā do dard kī lau aur kam hai mere liye
abhī ye ishq meñ pahlā qadam hai mere liye
jahāñ jahāñ se haiñ vābasta ḳhvāb logoñ ke
vo har maqām bahut mohtaram hai mere liye
miTāte jāoge tum darj karte jā.eñge ham
tumhāre vāste ḳhanjar qalam hai mere liye
har ek lamha tirī justujū meñ ḳharch huā
mujhe ye lagtā thā merā janam hai mere liye
maiñ apnī raah kī ḳhud raushnī banūñ to banūñ
koī ḳhudā hai na koī sanam hai mere liye
baDha do dard ki lau aur kam hai mere liye
abhi ye ishq mein pahla qadam hai mere liye
jahan jahan se hain wabasta KHwab logon ke
wo har maqam bahut mohtaram hai mere liye
miTate jaoge tum darj karte jaenge hum
tumhaare waste KHanjar qalam hai mere liye
har ek lamha teri justuju mein KHarch hua
mujhe ye lagta tha mera janam hai mere liye
main apni rah ki KHud raushni banun to banun
koi KHuda hai na koi sanam hai mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.