baDha hai soz-e-jigar ab madad ko aae koi
baḌhā hai soz-e-jigar ab madad ko aa.e koī
ġhazab kī aag lagī hai zarā bujhā.e koī
paḌī hai dil ko mire ḳhud bhī ādat-e-fariyād
ye chheḌtā hai har ik ko ki phir satā.e koī
sunā.e jaate haiñ ham qissa-e-ġham-e-furqat
ḳhudā kare ki na mahfil meñ muskurā.e koī
taḌap vo hijr kī thī ab ye maut kī hai taḌap
jo dekhnā ho to ab aa ke dekh jaa.e koī
jinheñ ye dekh ke taab aatī hai vo aur haiñ log
ham apne muñh ko phirāte haiñ muskurā.e koī
baDha hai soz-e-jigar ab madad ko aae koi
ghazab ki aag lagi hai zara bujhae koi
paDi hai dil ko mere KHud bhi aadat-e-fariyaad
ye chheDta hai har ek ko ki phir satae koi
sunae jate hain hum qissa-e-gham-e-furqat
KHuda kare ki na mahfil mein muskurae koi
taDap wo hijr ki thi ab ye maut ki hai taDap
jo dekhna ho to ab aa ke dekh jae koi
jinhen ye dekh ke tab aati hai wo aur hain log
hum apne munh ko phiraate hain muskurae koi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.