baDha jo hath to diwar bich mein aai
baḌhā jo haath to dīvār biich meñ aa.ī
uThī nigāh to mīnār biich meñ aa.ī
safar sabhī kā muayyan hai ek hī dar tak
to kis sabab se ye raftār biich meñ aa.ī
hisār-e-farq kabhī kā simaT gayā hotā
kabhī anā kabhī dastār biich meñ aa.ī
samajhnā sochnā sunñā jahāñ nahīñ mumkin
kahāñ se ishq meñ guftār biich meñ aa.ī
dar-e-bahisht rahā do qadam ki lauT aayā
vatan kī sūrat-e-lāchār biich meñ aa.ī
baDha jo hath to diwar bich mein aai
uThi nigah to minar bich mein aai
safar sabhi ka muayyan hai ek hi dar tak
to kis sabab se ye raftar bich mein aai
hisar-e-farq kabhi ka simaT gaya hota
kabhi ana kabhi dastar bich mein aai
samajhna sochna sunna jahan nahin mumkin
kahan se ishq mein guftar bich mein aai
dar-e-bahisht raha do qadam ki lauT aaya
watan ki surat-e-lachaar bich mein aai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.