Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

baDha ye shak ki ghairon ki tan mein aag lagi

Rasheed lakhnavi

baDha ye shak ki ghairon ki tan mein aag lagi

Rasheed lakhnavi

MORE BYRasheed lakhnavi

    baḌhā ye shak ki ġhairoñ ki tan meñ aag lagī

    ham aa.e kyā ki tirī anjuman meñ aag lagī

    zarā jo us ne haTā.ī naqāb chehre se

    girī vo barq sab anjuman meñ aag lagī

    barābar aaj ḳhabar ashk-e-garm laate haiñ

    ġhazab qasr-e-dil-e-pur-mehan meñ aag lagī

    ye terā vahshī-e-ātish-nafas jahāñ pahuñchā

    pahāḌ jal ke hue ḳhaak ban meñ aag lagī

    jalā rahā hai ye kah kah ke dam-ba-dam sayyād

    tujhe ḳhabar bhī hai bulbul chaman meñ aag lagī

    kamāl-e-husn garmī se mujh ko hairat hai

    ki aaj tak na mire pairahan meñ aag lagī

    jab āh-e-garm chalī dil se saath dauḌe ashk

    huā yaqīn ki kām-o-dahan meñ aag lagī

    chahār samt se le le ke paanī abr aayā

    khile jo phuul to jaanā chaman meñ aag lagī

    jahāñ paḌhe ga.e ash.ār tere garmā-garm

    'rashīd' mahfil-e-ahl-e-suḳhan meñ aag lagī

    baDha ye shak ki ghairon ki tan mein aag lagi

    hum aae kya ki teri anjuman mein aag lagi

    zara jo us ne haTai naqab chehre se

    giri wo barq ki sab anjuman mein aag lagi

    barabar aaj KHabar ashk-e-garm late hain

    ghazab ki qasr-e-dil-e-pur-mehan mein aag lagi

    ye tera wahshi-e-atish-nafas jahan pahuncha

    pahaD jal ke hue KHak ban mein aag lagi

    jala raha hai ye kah kah ke dam-ba-dam sayyaad

    tujhe KHabar bhi hai bulbul chaman mein aag lagi

    kamal-e-husn ki garmi se mujh ko hairat hai

    ki aaj tak na mere pairahan mein aag lagi

    jab aah-e-garm chali dil se sath dauDe ashk

    hua yaqin ki kaam-o-dahan mein aag lagi

    chahaar samt se le le ke pani abr aaya

    khile jo phul to jaana chaman mein aag lagi

    jahan paDhe gae ashaar tere garma-garm

    'rashid' mahfil-e-ahl-e-suKHan mein aag lagi

    Source :
    • Book : Gulistan-e-Rasheed (Pg. ghazal-111 page-102)
    • Author : Piyare Sahab Rasheed
    • Edition : 1952
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now