baDhe chalo ki thakan to nashe ki mahfil hai
baḌhe chalo ki thakan to nashe kī mahfil hai
abhī to duur bahut duur apnī manzil hai
ye be-qarār tabassum tire laboñ kā fusūñ
yahī to chāk-e-garebāñ kī pahlī manzil hai
kisī kā raaz to phir bhī parā.ī baat huī
ḳhud apne dil ko samajhnā bhī saḳht mushkil hai
kisī ne chāñd pe lahrā diyā hai parcham-e-vaqt
koī hamārī tarah sahl jis ko mushkil hai
ik ābshār pe mānind-e-barg-e-āvāra
koī maqām hai apnā na koī manzil hai
baDhe chalo ki thakan to nashe ki mahfil hai
abhi to dur bahut dur apni manzil hai
ye be-qarar tabassum tere labon ka fusun
yahi to chaak-e-gareban ki pahli manzil hai
kisi ka raaz to phir bhi parai baat hui
KHud apne dil ko samajhna bhi saKHt mushkil hai
kisi ne chand pe lahra diya hai parcham-e-waqt
koi hamari tarah sahl jis ko mushkil hai
ek aabshaar pe manind-e-barg-e-awara
koi maqam hai apna na koi manzil hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.