baDhe nafrat baDhe ranjish ki qatl-e-am ho jae
baḌhe nafrat baḌhe ranjish ki qatl-e-ām ho jaa.e
siyāsat chāhtī hai bas ki us kā kaam ho jaa.e
hamāre naam kī bolī lagā.ī jis ne ab yaaro
kahīñ aisā na ho vo shaḳhs hī nīlām ho jaa.e
bahut kiiñ koshisheñ jis ne mujhe badnām kar ne kī
vo hī ab chāhtā hai ki mirā ikrām ho jaa.e
vo bhī apnā samajh ke rāz-e-dil sab ko batātā hai
kahīñ aisā na ho merī tarah badnām ho jaa.e
koī raazī nahīñ hai qīmat-e-shohrat chukāne ko
har ik ye chāhtā hai bas jahāñ meñ naam ho jaa.e
use bhī bolnā aatā nahīñ sach ke sivā kuchh bhī
bahut mumkin hai vo kuchh roz meñ gumnām ho jaa.e
baDhe nafrat baDhe ranjish ki qatl-e-am ho jae
siyasat chahti hai bas ki us ka kaam ho jae
hamare nam ki boli lagai jis ne ab yaro
kahin aisa na ho wo shaKHs hi nilam ho jae
bahut kin koshishen jis ne mujhe badnam kar ne ki
wo hi ab chahta hai ki mera ikram ho jae
wo bhi apna samajh ke raaz-e-dil sab ko batata hai
kahin aisa na ho meri tarah badnam ho jae
koi raazi nahin hai qimat-e-shohrat chukane ko
har ek ye chahta hai bas jahan mein nam ho jae
use bhi bolna aata nahin sach ke siwa kuchh bhi
bahut mumkin hai wo kuchh roz mein gumnam ho jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.