baDhe zara jo ye mauj-e-wahshat to hum bhi koi kamal kar len
baDhe zara jo ye mauj-e-wahshat to hum bhi koi kamal kar len
Iqbal Khawar
MORE BYIqbal Khawar
baḌhe zarā jo ye mauj-e-vahshat to ham bhī koī kamāl kar leñ
kisī ko koī javāb de deñ kisī se koī savāl kar leñ
us ek sone se ghar ke ai dil rakhā hī kyā hai ab us galī meñ
ki jaa.eñ karne ko zaḳhm taaza aur apnī āñkhoñ ko laal kar leñ
milā jo ban kar vo ajnabī sā kahā hai dil ne ye aah bhar kar
bhulā deñ saarī guzishta bāteñ ga.e dinoñ kā malāl kar leñ
yahī hai āñkhoñ kā bas taqāzā sajeñ darīche phir us galī ke
tamāshā hone ko jaa.eñ phir ham phir apnā vaisā hī haal kar leñ
havā-e-hijrāñ ruke to kar leñ mudāvā apnī udāsiyoñ kā
gale lagā leñ phir us ko 'ḳhāvar' phir ek rishta bahāl kar leñ
baDhe zara jo ye mauj-e-wahshat to hum bhi koi kamal kar len
kisi ko koi jawab de den kisi se koi sawal kar len
us ek sone se ghar ke ai dil rakha hi kya hai ab us gali mein
ki jaen karne ko zaKHm taza aur apni aankhon ko lal kar len
mila jo ban kar wo ajnabi sa kaha hai dil ne ye aah bhar kar
bhula den sari guzishta baaten gae dinon ka malal kar len
yahi hai aankhon ka bas taqaza sajen dariche phir us gali ke
tamasha hone ko jaen phir hum phir apna waisa hi haal kar len
hawa-e-hijran ruke to kar len mudawa apni udasiyon ka
gale laga len phir us ko 'KHawar' phir ek rishta bahaal kar len
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.