baDhega din na chalegi hawa hamare baad
baḌhegā din na chalegī havā hamāre ba.ad
sameT legā ye duniyā ḳhudā hamāre ba.ad
hamārā sadqa utāro ai barchhiyo bhālo
ki kaun rakkhegā zauq-e-qazā hamāre baad
hamīñ haiñ sang-e-hifāzat baqā-e-shīsha-garī
ki Tuut jā.egā har aa.ina hamāre baad
ham aise jā.eñge le kar balā.eñ duniyā kī
kahīñ na hogā koī hādisa hamāre baad
diyoñ ko jaao ḳhabar-dār kar ke aa jaao
ki sarkashī pe tulegī havā hamāre baad
musāfirān-e-musībat ye kahte jaate haiñ
luTe na aise koī qāfila hamāre baad
jahāñ pe bichhḌe the ham tum vo ho gayā daldal
ki itnā royā vo ik rāsta hamāre baad
hameñ bhī koī ḳhamoshī nahīñ pukāregī
tumheñ bhī koī na degā sadā hamāre baa'd
maqām-e-pahlū tirā masnadoñ se a.alā hai
kisī ko denā na ye martaba hamāre baad
ki jaate jaate hameñ itnā to batā jaao
ki aglī kyā hai tumhārī duā hamāre baad
baDhega din na chalegi hawa hamare baad
sameT lega ye duniya KHuda hamare baad
hamara sadqa utaro ai barchhiyo bhaalo
ki kaun rakkhega zauq-e-qaza hamare baad
hamin hain sang-e-hifazat baqa-e-shisha-gari
ki Tut jaega har aaina hamare baad
hum aise jaenge le kar balaen duniya ki
kahin na hoga koi hadisa hamare baad
diyon ko jao KHabar-dar kar ke aa jao
ki sarkashi pe tulegi hawa hamare baad
musafiran-e-musibat ye kahte jate hain
luTe na aise koi qafila hamare baad
jahan pe bichhDe the hum tum wo ho gaya daldal
ki itna roya wo ek rasta hamare baad
hamein bhi koi KHamoshi nahin pukaregi
tumhein bhi koi na dega sada hamare ba'd
maqam-e-pahlu tera masnadon se aala hai
kisi ko dena na ye martaba hamare baad
ki jate jate hamein itna to bata jao
ki agli kya hai tumhaari dua hamare baad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.