baDhin idhar jo wo nazren to phir raha na gaya
baḌhīñ idhar jo vo nazreñ to phir rahā na gayā
gunāhgār bane pārsā banā na gayā
bahār ban ke phire vo chaman chaman bhī to kyā
hamāre dil kī kalī to koī khilā na gayā
isī kā naam hai vā'da to sau salām mirā
ki aaj tak koī vā'da vafā kiyā na gayā
ye aur baat ki ham kuchh bhī yaad rakh na sake
zamāna kab hameñ apnā sabaq paḌhā na gayā
ab aur is se sivā inqalāb kyā hotā
vo dekhā āñkhoñ ne kānoñ se jo sunā na gayā
chaman chaman na huā aur kalī kalī na huī
vo aa ke baaġh meñ jab tak ki muskurā na gayā
ba-nām-e-tauba diye toḌ kitne ḳhālī jaam
magar bharā huā sāġhar paTak diyā na gayā
ḳhabar sunī hai ki rindoñ se bhar ga.ī jannat
janāb-e-shaiḳh ke baare meñ kuchh sunā na gayā
kise ḳhabar thī ki iz.hār-e-'ishq bhī hai gunāh
ḳhudā kā shukr ki 'bismil' se kuchh kahā na gayā
baDhin idhar jo wo nazren to phir raha na gaya
gunahgar bane parsa bana na gaya
bahaar ban ke phire wo chaman chaman bhi to kya
hamare dil ki kali to koi khila na gaya
isi ka nam hai wa'da to sau salam mera
ki aaj tak koi wa'da wafa kiya na gaya
ye aur baat ki hum kuchh bhi yaad rakh na sake
zamana kab hamein apna sabaq paDha na gaya
ab aur is se siwa inqalab kya hota
wo dekha aankhon ne kanon se jo suna na gaya
chaman chaman na hua aur kali kali na hui
wo aa ke bagh mein jab tak ki muskura na gaya
ba-nam-e-tauba diye toD kitne KHali jam
magar bhara hua saghar paTak diya na gaya
KHabar suni hai ki rindon se bhar gai jannat
janab-e-shaiKH ke bare mein kuchh suna na gaya
kise KHabar thi ki izhaar-e-'ishq bhi hai gunah
KHuda ka shukr ki 'bismil' se kuchh kaha na gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.