baDhti jati hai meri uski chah
baḌhtī jaatī hai merī us kī chaah
sach hai hotī hai dil ko dil se raah
us dahān o kamar kī mat pūchho
kaam kartī nahīñ kisī kī nigāh
marte haiñ intizār meñ us ke
aa bhī jaa.e kahīñ vo yā-allāh
us kī zulf-e-siyah hai ek balā
is balā se ḳhudā hī deve panāh
khīñch kar mujh pe ġhair ko maarī
āfrīñ āfrīñ jazāk-allāh
hai shab-e-zulf kā tamāshā.ī
kyuuñ na 'joshish' kā hove roz siyāh
baDhti jati hai meri us ki chah
sach hai hoti hai dil ko dil se rah
us dahan o kamar ki mat puchho
kaam karti nahin kisi ki nigah
marte hain intizar mein us ke
aa bhi jae kahin wo ya-allah
us ki zulf-e-siyah hai ek bala
is bala se KHuda hi dewe panah
khinch kar mujh pe ghair ko mari
aafrin aafrin jazak-allah
hai shab-e-zulf ka tamashai
kyun na 'joshish' ka howe roz siyah
- Deewan-e-Joshish(Rekhta Website)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.