baDi choron ko aasani hai mujh mein
baḌī choroñ ko āsānī hai mujh meñ
kisī andhe kī nigarānī hai mujh meñ
mirī āñkhoñ se bāhar jhāñktā hai
na-jāne kaun zindānī hai mujh meñ
dil-e-afsurda ne vo gul khilā.e
jahāñ tak dekhūñ vīrānī hai mujh meñ
bahut bechain rahtī hai mirī ruuh
use koī pareshānī hai mujh meñ
khulā ye raaz chashm-e-tar se mujh par
samundar se fuzūñ paanī hai mujh meñ
ḳhudā ko āzmā.ūñ lamha lamha
baḌī kāfir musalmānī hai mujh meñ
baDi choron ko aasani hai mujh mein
kisi andhe ki nigarani hai mujh mein
meri aankhon se bahar jhankta hai
na-jaane kaun zindani hai mujh mein
dil-e-afsurda ne wo gul khilae
jahan tak dekhun virani hai mujh mein
bahut bechain rahti hai meri ruh
use koi pareshani hai mujh mein
khula ye raaz chashm-e-tar se mujh par
samundar se fuzun pani hai mujh mein
KHuda ko aazmaun lamha lamha
baDi kafir musalmani hai mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.