baDi dil-shikan hai rah-e-safar koi ham-safar hai na yar hai
baDi dil-shikan hai rah-e-safar koi ham-safar hai na yar hai
Bebak Bhojpuri
MORE BYBebak Bhojpuri
baḌī dil-shikan hai rah-e-safar koī ham-safar hai na yaar hai
ki javāñ-asar hai tamām shai na sukūn hai na qarār hai
zarā tez-gām baḌhe chalo hai fazā-e-sahrā musāfiro
jahāñ aañkh dil kī jhapak ga.ī vahīñ zindagī kā mazār hai
na rumūz-e-ishq se bā-ḳhabar na mizāj-e-husn se āgahī
ye mazāq-e-rāmish-o-rañg bhī rah-e-rāstī se farār hai
na kisī meñ husn-e-hayā rahā na kisī meñ bū-e-vafā rahī
abhī dosh-e-aql pe sar-basar koī dev-e-makr savār hai
hai zamīr-e-zinda ke vāste to bisāt-e-gul bhī tabāh-kun
mire ham-jalīs ḳhabar bhī hai yahī āstīn kā maar hai
tirī be-panāh navāzisheñ tirī be-hisāb ināyateñ
mirī rūsiyāhī-e-gūnāgūñ kā hisāb hai na shumār hai
tirī rahmatoñ se hai duur kab mirī chāra-sāzī-e-be-kasī
kisī ġham-nasīb kī dahr meñ ye sadā se ḳhaas pukār hai
na kisī se adl kī baat kar na kisī se ḳhair kī rakh talab
ki matā-e-nūr-e-sahar yahāñ shab-e-tīra-e-tar pe nisār hai
tirī pand ḳhair-asar nahīñ tirī bandagī bhī ġhalat-nigar
tirā fikr nāseh-e-mohtaram abhī muflisī kā shikār hai
baDi dil-shikan hai rah-e-safar koi ham-safar hai na yar hai
ki jawan-asar hai tamam shai na sukun hai na qarar hai
zara tez-gam baDhe chalo hai faza-e-sahra musafiro
jahan aankh dil ki jhapak gai wahin zindagi ka mazar hai
na rumuz-e-ishq se ba-KHabar na mizaj-e-husn se aagahi
ye mazaq-e-ramish-o-rang bhi rah-e-rasti se farar hai
na kisi mein husn-e-haya raha na kisi mein bu-e-wafa rahi
abhi dosh-e-aql pe sar-basar koi dew-e-makr sawar hai
hai zamir-e-zinda ke waste to bisat-e-gul bhi tabah-kun
mere ham-jalis KHabar bhi hai yahi aastin ka mar hai
teri be-panah nawazishen teri be-hisab inayaten
meri rusiyahi-e-gunagun ka hisab hai na shumar hai
teri rahmaton se hai dur kab meri chaara-sazi-e-be-kasi
kisi gham-nasib ki dahr mein ye sada se KHas pukar hai
na kisi se adl ki baat kar na kisi se KHair ki rakh talab
ki mata-e-nur-e-sahar yahan shab-e-tira-e-tar pe nisar hai
teri pand KHair-asar nahin teri bandagi bhi ghalat-nigar
tera fikr naseh-e-mohtaram abhi muflisi ka shikar hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.