baDi hasin thi wo raat kaise nind aati
baḌī hasīn thī vo raat kaise niiñd aatī
tū mujh se duur thī do haath kaise niiñd aatī
tirī judā.ī ke jaise ka.ī jugoñ ke baa'd
mujhe milī thī vo ik raat kaise niiñd aatī
nigāheñ bol rahī thiiñ diloñ ke afsāne
yuuñ apnī ho rahī thī baat kaise niiñd aatī
tire laboñ ko kabhī tere gaal chhūtā rahā
jab aise kaT rahī thī raat kaise niiñd aatī
vo raat mere liye koī aam raat na thī
tire milan kī thī vo raat kaise niiñd aatī
tamām raat ham ik dūsre ko takte rahe
hamāre jaage the jazbāt kaise niiñd aatī
maiñ kaise jaag rahā thā mujhe ye hairat thī
mujhe to ye thā bas ik raat kaise niiñd aatī
baDi hasin thi wo raat kaise nind aati
tu mujh se dur thi do hath kaise nind aati
teri judai ke jaise kai jugon ke ba'd
mujhe mili thi wo ek raat kaise nind aati
nigahen bol rahi thin dilon ke afsane
yun apni ho rahi thi baat kaise nind aati
tere labon ko kabhi tere gal chhuta raha
jab aise kaT rahi thi raat kaise nind aati
wo raat mere liye koi aam raat na thi
tere milan ki thi wo raat kaise nind aati
tamam raat hum ek dusre ko takte rahe
hamare jage the jazbaat kaise nind aati
main kaise jag raha tha mujhe ye hairat thi
mujhe to ye tha bas ek raat kaise nind aati
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.