baDi hi andheri Dagar hai miyan
baḌī hī añdherī Dagar hai miyāñ
jahāñ ham faqīroñ kā ghar hai miyāñ
hai fursat to kuchh der mil baiThiye
judā.ī se kis ko mafar hai miyāñ
gharauñde yahāñ ret ke mat banāo
ki sail-e-havā zor par hai miyāñ
kabhī but-shikan the par ab ḳhud-shikan
ye ilzām bhī apne sar hai miyāñ
to phir kaj-kulāhī pe isrār kyuuñ
agar sañg-bārī kā Dar hai miyāñ
koī bach nikalne kī sūrat nahīñ
ye aaseb har moḌ par hai miyāñ
to phir ruḳh badalne se kyā fā.eda
muqaddar jab andhā safar hai miyāñ
baDi hi andheri Dagar hai miyan
jahan hum faqiron ka ghar hai miyan
hai fursat to kuchh der mil baiThiye
judai se kis ko mafar hai miyan
gharaunde yahan ret ke mat banao
ki sail-e-hawa zor par hai miyan
kabhi but-shikan the par ab KHud-shikan
ye ilzam bhi apne sar hai miyan
to phir kaj-kulahi pe israr kyun
agar sang-bari ka Dar hai miyan
koi bach nikalne ki surat nahin
ye aaseb har moD par hai miyan
to phir ruKH badalne se kya faeda
muqaddar jab andha safar hai miyan
- Book : Tahreek Silver Jubilee Number (Pg. 441)
- Author : Gopal Mittal, Makhmoor Saeedi, Prem Gopal Mittal
- Publication : Monthly Tahreek, 9, Ansari Market, Daryaganj, New Delhi-110002 (July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,)
- Edition : July, Aug., Sep. Oct. 1978,Volume No. 26,Issue No. 4,5,6,7,
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.