baDi hoshiyari dikhane lage ho
baḌī hoshiyārī dikhāne lage ho
haqīqat se nazreñ churāne lage ho
abhī to shurū'āt hai dostī kī
abhī se bahāna banāne lage ho
nishānā lagānā sikhāyā hai maiñ ne
magar tiir mujh par chalāne lage ho
jo merā dikhāyā huā rāsta hai
palaT kar mujhe hī dikhāne lage ho
haiñ jis meñ adhūrī mohabbat kī bāteñ
vahī giit kyoñ gungunāne lage ho
batātā hai badlā mizāj aap kā ye
kisī aur kī samt jaane lage ho
baDi hoshiyari dikhane lage ho
haqiqat se nazren churane lage ho
abhi to shuru'at hai dosti ki
abhi se bahana banane lage ho
nishana lagana sikhaya hai main ne
magar tir mujh par chalane lage ho
jo mera dikhaya hua rasta hai
palaT kar mujhe hi dikhane lage ho
hain jis mein adhuri mohabbat ki baaten
wahi git kyon gungunane lage ho
batata hai badla mizaj aap ka ye
kisi aur ki samt jaane lage ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.