baDi jaani hui aawaz mein kis ne bulaya hai
baḌī jaanī huī āvāz meñ kis ne bulāyā hai
koī guzre hue vaqtoñ se shāyad lauT aayā hai
chalo ab soch kar ye hī sharāfat se bichhaḌ jaa.eñ
ye dil-vil to javānī meñ sabhī ne hī lagāyā hai
hameñ to lag rahā thā ye ki ham gumnām haiñ lekin
kisī ne aaj phir darvāza dil kā khaTkhaTāyā hai
hamārā naam hī aayā nahīñ puure fasāne meñ
kahānī ko kuchh is andāz se us ne sunāyā hai
hamāre dil kā vo āñgan jahāñ taare na the kal tak
usī meñ chaudhvīñ kā chāñd puurā jagmagāyā hai
na koī ḳhat milā ham ko nahīñ paiġhām koī par
sunā dāvat kā us ne shahr meñ ruqqa ghumāyā hai
baDi jaani hui aawaz mein kis ne bulaya hai
koi guzre hue waqton se shayad lauT aaya hai
chalo ab soch kar ye hi sharafat se bichhaD jaen
ye dil-wil to jawani mein sabhi ne hi lagaya hai
hamein to lag raha tha ye ki hum gumnam hain lekin
kisi ne aaj phir darwaza dil ka khaTkhaTaya hai
hamara nam hi aaya nahin pure fasane mein
kahani ko kuchh is andaz se us ne sunaya hai
hamare dil ka wo aangan jahan tare na the kal tak
usi mein chaudhwin ka chand pura jagmagaya hai
na koi KHat mila hum ko nahin paigham koi par
suna dawat ka us ne shahr mein ruqqa ghumaya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.