baDi ji-dar aankhen hain
baḌī jī-dār āñkheñ haiñ
vo jo mai-ḳhvār āñkheñ haiñ
sar-e-dīvār maiñ lekin
pas-e-dīvār āñkheñ haiñ
mirā to ishq haiñ āñkheñ
tirā autār āñkheñ haiñ
na koī ḳhvāb jo dekheñ
baḌī bekār āñkheñ haiñ
unheñ maiñ roz taktā huuñ
bahut shahkār āñkheñ haiñ
vahī dil haar jaate haiñ
jo karte chaar āñkheñ haiñ
kisī kā pyaar haiñ chehre
kisī kā pyaar āñkheñ haiñ
jahāñ-bhar meñ mohabbat kā
baḌā iz.hār āñkheñ haiñ
kahīñ inkār haiñ 'ābid'
kahīñ iqrār āñkheñ haiñ
baDi ji-dar aankhen hain
wo jo mai-KHwar aankhen hain
sar-e-diwar main lekin
pas-e-diwar aankhen hain
mera to ishq hain aankhen
tera autar aankhen hain
na koi KHwab jo dekhen
baDi bekar aankhen hain
unhen main roz takta hun
bahut shahkar aankhen hain
wahi dil haar jate hain
jo karte chaar aankhen hain
kisi ka pyar hain chehre
kisi ka pyar aankhen hain
jahan-bhar mein mohabbat ka
baDa izhaar aankhen hain
kahin inkar hain 'abid'
kahin iqrar aankhen hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.