baDi latif kashish thi hasin panah mein tha
baḌī latīf kashish thī hasīñ panāh meñ thā
khulī jo aañkh to maiñ apnī ḳhvāb-gāh meñ thā
hadīs-e-ahd-e-masarrat mirī nigāh meñ thī
ki ek paikar-e-rā.anā dil-e-tabāh meñ thā
tulā huā thā kabhī jaan lene dene par
ajiib rang-e-vafā us ke intibāh meñ thā
har ek samt thī us kī nigāh patthar kī
vo sang-dil barahna jo shāhrāh meñ thā
mirī hayāt hī qātil sahī magar 'mutrib'
baḌe sukūn se maiñ apnī qatl-gāh meñ thā
baDi latif kashish thi hasin panah mein tha
khuli jo aankh to main apni KHwab-gah mein tha
hadis-e-ahd-e-masarrat meri nigah mein thi
ki ek paikar-e-raana dil-e-tabah mein tha
tula hua tha kabhi jaan lene dene par
ajib rang-e-wafa us ke intibah mein tha
har ek samt thi us ki nigah patthar ki
wo sang-dil barahna jo shahrah mein tha
meri hayat hi qatil sahi magar 'mutrib'
baDe sukun se main apni qatl-gah mein tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.