baDi muddat se qismat aazmane ki tamanna hai
baḌī muddat se qismat āzmāne kī tamanna hai
tujhe paane tujhe apnā banāne kī tamanna hai
kabhī to bandagī kī lazzatoñ se āshnā hogā
kisī ke naqsh-e-pā par sar jhukāne kī tamanna hai
rulāyā hai mujhe jis ġham ne barsoñ ḳhuun ke aañsū
mujhe us ġham pe ik din muskurāne kī tamanna hai
ab un ke dar pe aa baiThī vo jāneñ yā mirī qismat
kahīñ aane kī ḳhvāhish hai na jaane kī tamanna hai
ilāhī ḳhair muddat ho ga.ī bhūle hue jis ko
vo naġhma sāz-e-dil par gungunāne kī tamanna hai
'vafā' tum bhī ajab ho ḳhuub hai baazī mohabbat kī
ki us ko jiit kar bhī haar jaane kī tamanna hai
baDi muddat se qismat aazmane ki tamanna hai
tujhe pane tujhe apna banane ki tamanna hai
kabhi to bandagi ki lazzaton se aashna hoga
kisi ke naqsh-e-pa par sar jhukane ki tamanna hai
rulaya hai mujhe jis gham ne barson KHun ke aansu
mujhe us gham pe ek din muskurane ki tamanna hai
ab un ke dar pe aa baiThi wo jaanen ya meri qismat
kahin aane ki KHwahish hai na jaane ki tamanna hai
ilahi KHair muddat ho gai bhule hue jis ko
wo naghma saz-e-dil par gungunane ki tamanna hai
'wafa' tum bhi ajab ho KHub hai bazi mohabbat ki
ki us ko jit kar bhi haar jaane ki tamanna hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.