baDi mushkil se ki thi yar himmat tujhko khone ki
baḌī mushkil se kī thī yaar himmat tujh ko khone kī
batā kyā shart hai terī zarā nazdīk hone kī
chale aate haiñ tere gaañv jab ye dil taḌaptā hai
zarūrat hī nahīñ paḌtī hai mujh ko rone-dhone kī
ḳhushī se sar jhukā letā huuñ jab ye yaad aatā hai
mirī maañ ne nasīhat kī thī mujh ko miTTī hone kī
koī bechainī lāhaq hai ki āñkheñ band bhī kar luuñ
davā.ī lenī paḌtī hai mujhe kuchh der sone kī
tumhāre baad is dil meñ nahīñ aayā koī bhī shaḳhs
nahīñ himmat bachī 'kāmil' aziyyat aur Dhone kī
baDi mushkil se ki thi yar himmat tujh ko khone ki
bata kya shart hai teri zara nazdik hone ki
chale aate hain tere ganw jab ye dil taDapta hai
zarurat hi nahin paDti hai mujh ko rone-dhone ki
KHushi se sar jhuka leta hun jab ye yaad aata hai
meri man ne nasihat ki thi mujh ko miTTi hone ki
koi bechaini lahaq hai ki aankhen band bhi kar lun
dawai leni paDti hai mujhe kuchh der sone ki
tumhaare baad is dil mein nahin aaya koi bhi shaKHs
nahin himmat bachi 'kaamil' aziyyat aur Dhone ki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.