baDi ThanDi pawan hai tum kahan ho
baḌī ThanDī pavan hai tum kahāñ ho
sulagtā tan-badan hai tum kahāñ ho
guloñ se nik.hateñ rūThī huī haiñ
baḌā vīrāñ chaman hai tum kahāñ ho
bahāroñ meñ yuuñ tanhā chhoḌ denā
tumhārā husn-e-zan hai tum kahāñ ho
bujhā.e kaun ab is tishnagī ko
sarāboñ meñ hiran hai tum kahāñ ho
thamī jaatī haiñ dil kī dhaḌkaneñ bhī
nafas meñ bhī ghuTan hai tum kahāñ ho
baDi ThanDi pawan hai tum kahan ho
sulagta tan-badan hai tum kahan ho
gulon se nikhaten ruThi hui hain
baDa viran chaman hai tum kahan ho
bahaaron mein yun tanha chhoD dena
tumhaara husn-e-zan hai tum kahan ho
bujhae kaun ab is tishnagi ko
sarabon mein hiran hai tum kahan ho
thami jati hain dil ki dhaDkanen bhi
nafas mein bhi ghuTan hai tum kahan ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.