badla hua sa rang-e-gulistan hai in dinon
badlā huā sā rang-e-gulistāñ hai in dinoñ
ham par bahār to tirā ehsāñ hai in dinoñ
mahkā hai us ke dam se gulistān-e-ārzū
apnā lahū bahār kā unvāñ hai in dinoñ
apnā liyā hai jis ko tire ġham ke saath saath
vo ġham ġham-e-hayāt kā darmāñ hai in dinoñ
laa.eñ kahāñ se raushnī-e-dil sameT kar
nazroñ se duur duur charāġhāñ hai in dinoñ
kahte haiñ zindagī jise ai monis-e-hayāt
tere baġhair ḳhvāb-e-pareshāñ hai in dinoñ
badla hua sa rang-e-gulistan hai in dinon
hum par bahaar to tera ehsan hai in dinon
mahka hai us ke dam se gulistan-e-arzu
apna lahu bahaar ka unwan hai in dinon
apna liya hai jis ko tere gham ke sath sath
wo gham gham-e-hayat ka darman hai in dinon
laen kahan se raushni-e-dil sameT kar
nazron se dur dur charaghan hai in dinon
kahte hain zindagi jise ai monis-e-hayat
tere baghair KHwab-e-pareshan hai in dinon
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.