badla nahin hai tujhse mera dil sambhal ke dekh
badlā nahīñ hai tujh se mirā dil sambhal ke dekh
le maiñ milā.ūñ aañkh to āñkheñ badal ke dekh
apne hī chaal tak hai zamāne kā chal-chalāv
kashtī pe naḳhl-e-sāhil-e-dariyā ko chal ke dekh
ai dil na chhoḌ dāman-e-tifl-e-sarishk ko
rah jā.egā ba-rañg-e-mizha haath mal ke dekh
dāman talak kisī kī rasā.ī jo jaatī ho
mānind-e-ashk dīda-e-mardum se Dhal ke dekh
bahr-e-jahāñ meñ naqsh-bar-āb aadmī ko jaan
misl-e-habāb saare hijr ek mal ke dekh
ġhunche meñ gul-ruḳhoñ ke guzārī tamām umr
o bū-e-gul-nasīm jalā.e nikal ke dekh
badla nahin hai tujh se mera dil sambhal ke dekh
le main milaun aankh to aankhen badal ke dekh
apne hi chaal tak hai zamane ka chal-chalaw
kashti pe naKHl-e-sahil-e-dariya ko chal ke dekh
ai dil na chhoD daman-e-tifl-e-sarishk ko
rah jaega ba-rang-e-mizha hath mal ke dekh
daman talak kisi ki rasai jo jati ho
manind-e-ashk dida-e-mardum se Dhal ke dekh
bahr-e-jahan mein naqsh-bar-ab aadmi ko jaan
misl-e-habab sare hijr ek mal ke dekh
ghunche mein gul-ruKHon ke guzari tamam umr
o bu-e-gul-nasim jalae nikal ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.