badle hue haalat se mayus na hona
badle hue hālāt se māyūs na honā
insān ke jazbāt se māyūs na honā
ye raat usī kī hai sahar bhī hai usī kī
is dard-bharī raat se māyūs na honā
har dil se udāsī kā bharam toḌte rahnā
māyūs ḳhayālāt se māyūs na honā
maanā ki bahut aag hai māhaul meñ lekin
is mulk kī barsāt se māyūs na honā
duniyā se bahut aas lagānā nahīñ ai dost
duniyā kī kisī baat se māyūs na honā
kuchh log zarā der meñ khulte haiñ kisī se
pahlī hī mulāqāt se māyūs na honā
āvāra savālāt kī manzil bhī hai 'vāqif'
duniyā ke javābāt se māyūs na honā
badle hue haalat se mayus na hona
insan ke jazbaat se mayus na hona
ye raat usi ki hai sahar bhi hai usi ki
is dard-bhari raat se mayus na hona
har dil se udasi ka bharam toDte rahna
mayus KHayalat se mayus na hona
mana ki bahut aag hai mahaul mein lekin
is mulk ki barsat se mayus na hona
duniya se bahut aas lagana nahin ai dost
duniya ki kisi baat se mayus na hona
kuchh log zara der mein khulte hain kisi se
pahli hi mulaqat se mayus na hona
aawara sawalat ki manzil bhi hai 'waqif'
duniya ke jawabaat se mayus na hona
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.