badle jo tum to rasm-e-tamanna badal gai
badle jo tum to rasm-e-tamannā badal ga.ī
mahsūs ye huā ki ye duniyā badal ga.ī
insāniyat gavāh kuchh aise bhī azm haiñ
saaye meñ jin ke qismat-e-fardā badal ga.ī
mere junūn-e-shauq meñ kuchh aa ga.ī kamī
yā tere iltifāt kī duniyā badal ga.ī
ab vaqt-e-ehtiyāt hai bar-jur.at-e-nigāh
rindī kī riit kaisī ḳhudāyā badal ga.ī
badle subū na jaam na ādāb-e-mai-kadā
haañ mai-kashoñ ke shauq kī sahbā badal ga.ī
bikhre hue haiñ jalve har ik samt aaj bhī
lekin vo ārzū-e-tamāshā badal ga.ī
tere karam se merā jahāñ thā iram iram
badlī tirī nigāh to duniyā badal ga.ī
badle jo tum to rasm-e-tamanna badal gai
mahsus ye hua ki ye duniya badal gai
insaniyat gawah kuchh aise bhi azm hain
saye mein jin ke qismat-e-farda badal gai
mere junun-e-shauq mein kuchh aa gai kami
ya tere iltifat ki duniya badal gai
ab waqt-e-ehtiyat hai bar-jurat-e-nigah
rindi ki rit kaisi KHudaya badal gai
badle subu na jam na aadab-e-mai-kada
han mai-kashon ke shauq ki sahba badal gai
bikhre hue hain jalwe har ek samt aaj bhi
lekin wo aarzu-e-tamasha badal gai
tere karam se mera jahan tha iram iram
badli teri nigah to duniya badal gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.