badle mein duaon ke kabhi zar nahin lete
badle meñ duāoñ ke kabhī zar nahīñ lete
ehsān kisī kā bhī qalandar nahīñ lete
ḳhud manzil-e-maqsūd lipaT jaatī hai un se
rahbar kā sahārā vo kahīñ par nahīñ lete
so jaate haiñ bore pe chatā.ī pe kahīñ bhī
muflis to kabhī maḳhmalī bistar nahīñ lete
ho jaa.e jahāñ raat vahīñ din ko baserā
bechāre ye banjāre kahīñ ghar nahīñ lete
sab luuT liyā karte haiñ balvā.ī fasādī
ujḌe hue logoñ kā muqaddar nahīñ lete
ashkoñ se hī ham pyaas bujhā lete haiñ 'nāzāñ'
ḳhuddār haiñ kuchh aise samundar nahīñ lete
badle mein duaon ke kabhi zar nahin lete
ehsan kisi ka bhi qalandar nahin lete
KHud manzil-e-maqsud lipaT jati hai un se
rahbar ka sahaara wo kahin par nahin lete
so jate hain bore pe chatai pe kahin bhi
muflis to kabhi maKHmali bistar nahin lete
ho jae jahan raat wahin din ko basera
bechaare ye banjare kahin ghar nahin lete
sab luT liya karte hain balwai fasadi
ujDe hue logon ka muqaddar nahin lete
ashkon se hi hum pyas bujha lete hain 'nazan'
KHuddar hain kuchh aise samundar nahin lete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.