badle mein jafaon ke wafa kyun nahin dete
badle mein jafaon ke wafa kyun nahin dete
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
badle meñ jafāoñ ke vafā kyuuñ nahīñ dete
tum ishq ke sho.aloñ ko havā kyuuñ nahīñ dete
ma.adūm agar ho to kahāñ DhūñDhne jaa.eñ
maujūd agar ho to patā kyuuñ nahīñ dete
hairat hai ki is daur-e-kudūrat ke salātīñ
ham ahl-e-mohabbat ko sazā kyuuñ nahīñ dete
miltī hai gunāhoñ kī sazā hashr meñ lekin
nā-karda gunāhoñ kī jazā kyuuñ nahīñ dete
kab tak ai 'sahar' zabt kā āzār sahoge
jo baat hai vo us ko batā kyuuñ nahīñ dete
badle mein jafaon ke wafa kyun nahin dete
tum ishq ke shoalon ko hawa kyun nahin dete
madum agar ho to kahan DhunDhne jaen
maujud agar ho to pata kyun nahin dete
hairat hai ki is daur-e-kudurat ke salatin
hum ahl-e-mohabbat ko saza kyun nahin dete
milti hai gunahon ki saza hashr mein lekin
na-karda gunahon ki jaza kyun nahin dete
kab tak ai 'sahar' zabt ka aazar sahoge
jo baat hai wo us ko bata kyun nahin dete
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.