badlega ruKH hawa kabhi to
badlegā ruḳh havā kabhī to
khul jā.egā rāsta kabhī to
ġhaflat pe ḳhud apnī chauñk uTThegā
sun kar vo mirī sadā kabhī to
ho jā.egā munkashif bhī ḳhud par
dekhegā vo aa.ina kabhī to
kab tak ye adā-e-be-niyāzī
TūTegā ye silsila kabhī to
kholegā vo mujh pe bāb-e-rahmat
sun legā mirī du'ā kabhī to
qaa.em hai umiid par hī duniyā
hal hogā ye mas.ala kabhī to
kar degā zamīñ kā bojh halkā
uTThegā girā huā kabhī to
baiThā huuñ maiñ us ke rāste par
ho jā.egā sāmnā kabhī to
dī hai dard-e-dil pe us ke dastak
tai hogā ye fāsla kabhī to
badlega ruKH hawa kabhi to
khul jaega rasta kabhi to
ghaflat pe KHud apni chaunk uTThega
sun kar wo meri sada kabhi to
ho jaega munkashif bhi KHud par
dekhega wo aaina kabhi to
kab tak ye ada-e-be-niyazi
TuTega ye silsila kabhi to
kholega wo mujh pe bab-e-rahmat
sun lega meri du'a kabhi to
qaem hai umid par hi duniya
hal hoga ye masala kabhi to
kar dega zamin ka bojh halka
uTThega gira hua kabhi to
baiTha hun main us ke raste par
ho jaega samna kabhi to
di hai dard-e-dil pe us ke dastak
tai hoga ye fasla kabhi to
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.