badlegi KHud hi duniya raftar rafta rafta
badlegi KHud hi duniya raftar rafta rafta
Zaheer Nashad Darbhangwi
MORE BYZaheer Nashad Darbhangwi
badlegī ḳhud hī duniyā raftār rafta rafta
har zarra ho rahā hai bedār rafta rafta
rangīnī-e-chaman hai kis ke lahū kā sadqa
tārīḳh ḳhud karegī iqrār rafta rafta
aalam yahī rahā jo arbāb-e-gulsitāñ kā
maqtal banegā ik din gulzār rafta rafta
hai ibtidā-e-ulfat kuchh aur muskurā lo
rātoñ kī niiñd hogī dushvār rafta rafta
kyā kyā na dostī kī pahle huī numā.ish
phir darmiyāñ meñ uTThī dīvār rafta rafta
'nāshād' zindagī ne jo kuchh mujhe diyā hai
sheroñ meñ kar rahā huuñ iz.hār rafta rafta
badlegi KHud hi duniya raftar rafta rafta
har zarra ho raha hai bedar rafta rafta
rangini-e-chaman hai kis ke lahu ka sadqa
tariKH KHud karegi iqrar rafta rafta
aalam yahi raha jo arbab-e-gulsitan ka
maqtal banega ek din gulzar rafta rafta
hai ibtida-e-ulfat kuchh aur muskura lo
raaton ki nind hogi dushwar rafta rafta
kya kya na dosti ki pahle hui numaish
phir darmiyan mein uTThi diwar rafta rafta
'nashad' zindagi ne jo kuchh mujhe diya hai
sheron mein kar raha hun izhaar rafta rafta
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.