badlenge haalat ke tewar sabr karo
badleñge hālāt ke tevar sabr karo
ma.arka hogā har ik sar par sabr karo
aaj galā apnā hai ḳhanjar un ka hai
ik din badlegā ye manzar sabr karo
dushman mere pīchhe chhup kar baiThā hai
bol uThegā ik ik patthar sabr karo
haq to haq hai āḳhir ġhālib aa.egā
bātil kā jhuk jā.egā sar sabr karo
shāfa-e-mahshar kī hai ye ta.alīm hameñ
ġhusse ko pī jaao 'akbar' sabr karo
badlenge haalat ke tewar sabr karo
marka hoga har ek sar par sabr karo
aaj gala apna hai KHanjar un ka hai
ek din badlega ye manzar sabr karo
dushman mere pichhe chhup kar baiTha hai
bol uThega ek ek patthar sabr karo
haq to haq hai aaKHir ghaalib aaega
baatil ka jhuk jaega sar sabr karo
shafa-e-mahshar ki hai ye talim hamein
ghusse ko pi jao 'akbar' sabr karo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.