badli badli si gulistan ki hawa aaj bhi hai
badlī badlī sī gulistāñ kī havā aaj bhī hai
dast-e-sarsar meñ gul-e-tar kī qabā aaj bhī hai
aaj bhī ḳhūn-e-shahīdāñ se hai taz.īn-e-jamāl
dast-e-qātil ko tamannā-e-hinā aaj bhī hai
kārgar ho na sakā zaḳhm ke marham ka ilaaj
mere siine meñ har ik zaḳhm harā aaj bhī hai
āñso.oñ meñ baḌī lazzat thī bahut pahle bhī
ik taraf baiTh ke rone meñ maza aaj bhī hai
haañ vo 'jāved' vahī teġh-e-taġhāful kā qatīl
ek minjumla-e-arbāb-e-vafā aaj bhī hai
badli badli si gulistan ki hawa aaj bhi hai
dast-e-sarsar mein gul-e-tar ki qaba aaj bhi hai
aaj bhi KHun-e-shahidan se hai tazin-e-jamal
dast-e-qatil ko tamanna-e-hina aaj bhi hai
kargar ho na saka zaKHm ke marham ka ilaj
mere sine mein har ek zaKHm hara aaj bhi hai
aansoon mein baDi lazzat thi bahut pahle bhi
ek taraf baiTh ke rone mein maza aaj bhi hai
han wo 'jawed' wahi tegh-e-taghaful ka qatil
ek minjumla-e-arbab-e-wafa aaj bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.