badli badli teri nazar kyon hai
badlī badlī tirī nazar kyoñ hai
tū ḳhafā mujh se is qadar kyoñ hai
guftugū meñ agar-magar kyoñ hai
baat kahne meñ tujh ko Dar kyoñ hai
dil ke zaḳhmoñ ko chaak karne meñ
ye pas-o-pesh chārāgar kyoñ hai
chāñd utrā hai shāyad āñgan meñ
raushnī itnī mere ghar kyoñ hai
shahr meñ hai agar amaan to phir
sahmā sahmā sā har bashar kyoñ hai
kyā zavāl is kā aa gayā hai qarīb
zulm itnā uruuj par kyoñ hai
ye bhī sochā hai kyā 'nasīr' kabhī
har duā terī be-asar kyoñ hai
badli badli teri nazar kyon hai
tu KHafa mujh se is qadar kyon hai
guftugu mein agar-magar kyon hai
baat kahne mein tujh ko Dar kyon hai
dil ke zaKHmon ko chaak karne mein
ye pas-o-pesh chaaragar kyon hai
chand utra hai shayad aangan mein
raushni itni mere ghar kyon hai
shahr mein hai agar aman to phir
sahma sahma sa har bashar kyon hai
kya zawal is ka aa gaya hai qarib
zulm itna uruj par kyon hai
ye bhi socha hai kya 'nasir' kabhi
har dua teri be-asar kyon hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.